Sonu Nigam Bhajans: Jab Main Bhatak Jata Hoon Path Se Ishwar Raah Dikhate Hai - Lyrics



Jab Main Bhatak Jata Hoon Path Se
Jab Main Bhatak Jata Hoon Path Se
Ishwar Raah Dikhate Hai

Jab Main Bhatak Jata Hoon Path Se
Ishwar Raah Dikhate Hai
Mere Soone Se Jeevan Me
Aasha Joyti Jalate Hai

Ishwar Bhakti Sukh Ka Sagar
Jo Bhi Chahe Bharle Gagar

Ishwar Bhakti Sukh Ka Sagar
Jo Bhi Chahe Bharle Gagar

Jaisi Bhavana Mann Ki Hoti
Vaise Dikhte Hai Parmeshwar

Kan Kan Me Hai Prabhu Ki Aabha
Sab Per Daya Lutate Hai

Jab Main Bhatak Jata Hoon Path Se
Ishwar Raah Dikhate Hai

Suraj Chand Sitare Bana Kar
Dharti Per Hariyali Saja Kar

Suraj Chand Sitare Bana Kar
Dharti Per Hariyali Saja Kar
Jeev Jagat Ko Saup Diya Hai
Jeevan Bagiya Phool Khila Kar
Bhor Me Roop Kiran Ka Lekar
Prabhu Nit Mujhe Jagate Hai

Jab Main Bhatak Jata Hoon Path Se
Ishwar Raah Dikhate Hai

Kaise Kahu Prabhu Door Hai Mujhse
Har Pag Me Anubhav Karta Hu

Kaise Kahu Prabhu Door Hai Mujhse
Har Pag Me Anubhav Karta Hu
Pyase Ko Paani
Bhooke Ko Bhojan
Dete Wahi Aisa Lagta
Jab Tan Me Peeda Hoti
Prabhu Aushadi Bhankar Aate Hai

Jab Main Bhatak Jata Hoon Path Se
Ishwar Raah Dikhate Hai
Mere Soone Se Jeevan Me
Aasha Joyti Jalate Hai




0 comments:

Post a Comment

 
Top