Shyam Bhajan: Mohan Hamare Madhuban - Lyrics



Mohan hamare madhuban mein
Tum aaya na karo
Jaadu bhari banshi bajaya na karo
Mohan hamare madhuban mein

Mohan hamare madhuban mein
Tum aaya na karo
Jaadu bhari banshi bajaya na karo
Mohan hamare madhuban mein

Surat tuhari dekh ke saloni savari
Sun baasuri ki raag ko ham ho gai bavari
Makhan ko churane waale
Dil churaya na karo
Jaadu bhari banshi bajaya na karo
Mohan hamare madhuban mein

Maathe mukut gale maal
Kath mein kachhani sohe
Kaano mein kundal jhoom ke
Man mere ko mohe
Is chandrama ke roop se
Lubhaya na karo
Jaadu bhari banshi bajaya na karo
Mohan hamare madhuban mein

Apani yashoda maat ki
Saugandh hai tumako
Yamuna nadi ke teer pe
Tum na milo hamko
Is baasuri ki taan pe bilmaya na karo
Jaadu bhari banshi bajaya na karo

Mohan hamare madhuban mein
Tum aaya na karo
Jaadu bhari banshi bajaya na karo
Mohan hamare madhuban mein




0 comments:

Post a Comment

 
Top