Shyam Bhajan: Lut raha, lut raha, lut raha re - Lyrics



Lut raha, lut raha, lut raha re
Shyam ka khajaana, lut raha re

Lut raha, lut raha, lut raha re
Shyam ka khajaana, lut raha re

Lut sake toh, lut le bande, kaahe deri karta hai,
Aisa mauka, fir naa milega, sabki jholi bharta hai,
Lut sake toh, lut le bande, kaahe deri karta hai,
Aisa mauka, fir naa milega, sabki jholi bharta hai,
Iski sharan mei aakar ke, Iski sharan mei aakar ke,
Jo kuch bhi maang mil gaya re….
Iski sharan mei aakar ke, Iski sharan mei aakar ke,
Jo kuch bhi maang mil gaya re….
Lut raha, lut raha, lut raha re
Shyam ka khajaana, lut raha re

Haantho haanth, milega parcha, ye darbaar niraala hai,
Ghar- ghar puja ho, kaliyug mei, bhakto ka rakhwala hai,
Haantho haanth, milega parcha, ye darbaar niraala hai,
Ghar- ghar puja ho, kaliyug mei, bhakto ka rakhwala hai,
Jisne bhi iska naam liya, Jisne bhi iska naam liya,
Uski kishmat ka taala khul gaya re…
Jisne bhi iska naam liya, Jisne bhi iska naam liya,
Uski kishmat ka taala khul gaya re…
Lut raha, lut raha, lut raha re
Shyam ka khajaana, lut raha re
Iske jaisa, is duniya mei, koi bhi darbaar nahi,
Aisa dayalu, ‘banwari’ ye, karta kabhi inkaar nahi,

Iske jaisa, is duniya mei, koi bhi darbaar nahi,
Aisa dayalu, ‘banwari’ ye, karta kabhi inkaar nahi,
Kon hai aisa duniya mei, Kon hai aisa duniya mei,
Jisko ye baba nat gaya re…
Kon hai aisa duniya mei, Kon hai aisa duniya mei,
Jisko ye baba nat gaya re…
Lut raha, lut raha, lut raha re
Shyam ka khajaana, lut raha re

Lut raha, lut raha, lut raha re
Shyam ka khajaana, lut raha re




0 comments:

Post a Comment

 
Top